Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rang-e-nigah mil gaya jalwa-e-be-sifat mein

Shadan Indauri

rang-e-nigah mil gaya jalwa-e-be-sifat mein

Shadan Indauri

MORE BYShadan Indauri

    rang-e-nigāh mil gayā jalva-e-be-sifāt meñ

    dekh rahā huuñ maiñ unheñ bazm-e-ta.ayyunāt meñ

    ġham haqīqateñ samajh aish kaifiyāt meñ

    maut ke ḳhadd-o-ḳhāl dekh raushnī-e-hayāt meñ

    chāhtā huuñ ik inqalāb zauq-e-jamāliyāt meñ

    band-e-naqāb khol do bazm-e-ta.ayyunāt meñ

    merā vajūd ajiib chiiz hai kā.enāt meñ

    duur tajalliyāt se ġharq tajalliyāt meñ

    mujh ko bulā rahe ho kyoñ kār-gah-e-hayāt meñ

    kyā kisī chiiz kamī hai abhī kā.enāt meñ

    raaz ye hal na kar sakā koī bhī kā.enāt meñ

    kis tajalliyāt haiñ kis ke mushāhidāt meñ

    is ilaaj kyā ki maiñ ḳhud tabāh ho gayā

    ne to kuchh kamī na koshish-e-iltifāt meñ

    ek the magar na thī ek ek ko ḳhabar

    maiñ rahā hasratoñ meñ gum aur vo tajalliyāt meñ

    pesh-e-nazar hai be-hijāb husn bhī rāz-e-husn bhī

    'shādāñ' vo rif.ateñ haiñ aaj mere taḳhaiyyulāt meñ

    rang-e-nigah mil gaya jalwa-e-be-sifat mein

    dekh raha hun main unhen bazm-e-tayyunat mein

    gham ki haqiqaten samajh aish ki kaifiyat mein

    maut ke KHadd-o-KHal dekh raushni-e-hayat mein

    chahta hun ek inqalab zauq-e-jamaliyat mein

    band-e-naqab khol do bazm-e-tayyunat mein

    mera wajud hi ajib chiz hai kaenat mein

    dur tajalliyat se gharq tajalliyat mein

    mujh ko bula rahe ho kyon kar-gah-e-hayat mein

    kya kisi chiz ki kami hai abhi kaenat mein

    raaz ye hal na kar saka koi bhi kaenat mein

    kis ki tajalliyat hain kis ke mushahidat mein

    is ka ilaj kya ki main KHud hi tabah ho gaya

    tu ne to kuchh kami na ki koshish-e-iltifat mein

    ek hi the magar na thi ek ki ek ko KHabar

    main raha hasraton mein gum aur wo tajalliyat mein

    pesh-e-nazar hai be-hijab husn bhi raaz-e-husn bhi

    'shadan' wo rifaten hain aaj mere taKHaiyyulat mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now