rang-e-shafaq bas husn-e-nazar ho ye bhi to ho sakta hai
rang-e-shafaq bas husn-e-nazar ho ye bhi to ho sakta hai
Moazzam Ali Khan
MORE BYMoazzam Ali Khan
rang-e-shafaq bas husn-e-nazar ho ye bhī to ho saktā hai
shaam kā chehra ḳhuun se tar ho ye bhī to ho saktā hai
ek chamaktī shai ko āḳhir tum aañsū kyoñ samjhe ho
dast-e-ḳhudī meñ koī guhar ho ye bhī to ho saktā hai
sab kahte haiñ kho kar us ko khoyā khoyā rahtā huuñ
us kā tasavvur ḳhvāb-asar ho ye bhī to ho saktā hai
jehd-e-musalsal ke matavālo duur dhueñ kā Tiila sā
koī sāya-dār shajar ho ye bhī to ho saktā hai
rāh-e-vafā meñ chalte chalte saath kahīñ vo chhoḌ na de
us ko bhī is baat kā Dar ho ye bhī to ho saktā hai
mumkin hai vo jugnū hī hoñ jo jalte aur bujhte haiñ
tārīkī meñ raqs-e-sharar ho ye bhī to ho saktā hai
mushkil hai andāza lagānā sheroñ se shaḳhsiyyat kā
rang-e-'muazzam' sirf hunar ho ye bhī to ho saktā hai
rang-e-shafaq bas husn-e-nazar ho ye bhi to ho sakta hai
sham ka chehra KHun se tar ho ye bhi to ho sakta hai
ek chamakti shai ko aaKHir tum aansu kyon samjhe ho
dast-e-KHudi mein koi guhar ho ye bhi to ho sakta hai
sab kahte hain kho kar us ko khoya khoya rahta hun
us ka tasawwur KHwab-asar ho ye bhi to ho sakta hai
jehd-e-musalsal ke matawalo dur dhuen ka Tila sa
koi saya-dar shajar ho ye bhi to ho sakta hai
rah-e-wafa mein chalte chalte sath kahin wo chhoD na de
us ko bhi is baat ka Dar ho ye bhi to ho sakta hai
mumkin hai wo jugnu hi hon jo jalte aur bujhte hain
tariki mein raqs-e-sharar ho ye bhi to ho sakta hai
mushkil hai andaza lagana sheron se shaKHsiyyat ka
rang-e-'muazzam' sirf hunar ho ye bhi to ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.