rang isar ke chehre ka nikharta kaise
rang īsār ke chehre kā nikhartā kaise
zaḳhm ahbāb na dete to sañvartā kaise
mirī qismat meñ bulandī kā safar likkhā thā
sāzish-e-vaqt se pastī meñ utartā kaise
hausla thā mirā mazbūt pahāḌoñ kī tarah
TuuT kar tinkoñ kī mānind bikhartā kaise
saaya thā hī nahīñ maalī kā chaman ke sar par
rang phūloñ kā yatīmī meñ nikhartā kaise
muddatoñ rahnā thā jis peḌ ke saa.e meñ mujhe
us kī shāḳhoñ ko batāo maiñ kutartā kaise
maiñ ne chāhā thā zarā der vo Thahre 'ālam'
vo to bahtā huā dariyā thā Thahartā kaise
rang isar ke chehre ka nikharta kaise
zaKHm ahbab na dete to sanwarta kaise
meri qismat mein bulandi ka safar likkha tha
sazish-e-waqt se pasti mein utarta kaise
hausla tha mera mazbut pahaDon ki tarah
TuT kar tinkon ki manind bikharta kaise
saya tha hi nahin mali ka chaman ke sar par
rang phulon ka yatimi mein nikharta kaise
muddaton rahna tha jis peD ke sae mein mujhe
us ki shaKHon ko batao main kutarta kaise
main ne chaha tha zara der wo Thahre 'alam'
wo to bahta hua dariya tha Thaharta kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.