rang jitne hain meri sham-o-sahar ke
rang jitne hain meri sham-o-sahar ke
Nishant Shrivastava Nayab
MORE BYNishant Shrivastava Nayab
rañg jitne haiñ mirī shām-o-sahar ke
muntazir rahte haiñ us kī ik nazar ke
haal ham se pūchh mat dīvār-o-dar ke
ghar meñ rah kar bhī nahīñ ham apne ghar ke
hausle kuchh past the dīda-e-tar ke
ham ne har ġham rakh liyā tasvīr kar ke
koī to bāzār meñ dūkān hotī
bechtī jo mushkileñ āsān kar ke
ek manzar meñ nihāñ the aur manzar
dekhne vaale ne kab dekhā Thahar ke
aisā to mumkin nahīñ hasrat na hogī
ḳhaar hañs paate nahīñ phūloñ se Dar ke
ab kahāñ pahlā sā rishta hai zamīñ se
maiñ ne bhī nuqsān jhele bāl-o-par ke
us kī niyyat pe mujhe shak ho rahā hai
raushnī vo bāñTtā hai aag kar ke
rang jitne hain meri sham-o-sahar ke
muntazir rahte hain us ki ek nazar ke
haal hum se puchh mat diwar-o-dar ke
ghar mein rah kar bhi nahin hum apne ghar ke
hausle kuchh past the dida-e-tar ke
hum ne har gham rakh liya taswir kar ke
koi to bazar mein dukan hoti
bechti jo mushkilen aasan kar ke
ek manzar mein nihan the aur manzar
dekhne wale ne kab dekha Thahar ke
aisa to mumkin nahin hasrat na hogi
KHar hans pate nahin phulon se Dar ke
ab kahan pahla sa rishta hai zamin se
main ne bhi nuqsan jhele baal-o-par ke
us ki niyyat pe mujhe shak ho raha hai
raushni wo banTta hai aag kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.