rang jo bhi mere KHayal ke hain
rang jo bhī mire ḳhayāl ke haiñ
sab usī paikar-e-jamāl ke haiñ
ishq hai apnī āḳhirī had meñ
aur ham ab bhī biis saal ke haiñ
mehnateñ hausle vafādārī
mujh meñ kuchh aib to kamāl ke haiñ
fan agar be-nazīr hai merā
ratjage bhī to phir misāl ke haiñ
merī nīñdeñ harām haiñ lekin
mere ash.ār sab halāl ke haiñ
husn hai kam-sinī ke aalam meñ
ye shab-o-roz dekh-bhāl ke haiñ
aaj bhī laḌkiyoñ kī mahfil meñ
tazkire mere ḳhadd-o-ḳhāl ke haiñ
husn ho ishq ho mohabbat ho
saare āsār hī zavāl ke haiñ
rang jo bhi mere KHayal ke hain
sab usi paikar-e-jamal ke hain
ishq hai apni aaKHiri had mein
aur hum ab bhi bis sal ke hain
mehnaten hausle wafadari
mujh mein kuchh aib to kamal ke hain
fan agar be-nazir hai mera
ratjage bhi to phir misal ke hain
meri ninden haram hain lekin
mere ashaar sab halal ke hain
husn hai kam-sini ke aalam mein
ye shab-o-roz dekh-bhaal ke hain
aaj bhi laDkiyon ki mahfil mein
tazkire mere KHadd-o-KHal ke hain
husn ho ishq ho mohabbat ho
sare aasar hi zawal ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.