rang KHushiyon ke kal badalte hi
rañg ḳhushiyoñ ke kal badalte hī
ġham ne thāmā mujhe phisalte hī
maiñ jo likhtī thī ḳhvāb sūraj ke
Dhal ga.ī huuñ maiñ shaam Dhalte hī
raah sach kī bahut hī mushkil hai
paaoñ thakne lage haiñ chalte hī
vo mohabbat pe ḳhaak Daal gayā
bujh gayā ik charāġh jalte hī
ḳhvāb nāzuk haiñ kāñch ke jaise
TuuT jaate haiñ aañkh malte hī
rang KHushiyon ke kal badalte hi
gham ne thama mujhe phisalte hi
main jo likhti thi KHwab suraj ke
Dhal gai hun main sham Dhalte hi
rah sach ki bahut hi mushkil hai
paon thakne lage hain chalte hi
wo mohabbat pe KHak Dal gaya
bujh gaya ek charagh jalte hi
KHwab nazuk hain kanch ke jaise
TuT jate hain aankh malte hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.