rang KHwabon ke nae aankh mein bhar jata hai
rang ḳhvāboñ ke na.e aañkh meñ bhar jaatā hai
pyaar nashshe kī tarah jaañ meñ utar jaatā hai
vo to bas ek hī pal diid atā kartā hai
jaate jaate hī magar us kā asar jaatā hai
sar jhukā.e hue yuuñ ab ke havā chaltī hai
jaise va.adoñ se koī shaḳhs mukar jaatā hai
us ne bhī choT koī husn se khaa.ī hogī
chāñd ko dekh samundar jo biphar jaatā hai
ek āzād ravayye kī mahak hai un meñ
dil parindoñ kī rifāqat meñ nikhar jaatā hai
jab bichhaḌtā hai koī bāñsurī ro uThtī hai
shaam ke sahn meñ ik dard bikhar jaatā hai
lafz āvāz ke jangal meñ bhaTaktā hai magar
us ke hoñToñ se adā ho to sañvar jaatā hai
rang KHwabon ke nae aankh mein bhar jata hai
pyar nashshe ki tarah jaan mein utar jata hai
wo to bas ek hi pal did ata karta hai
jate jate hi magar us ka asar jata hai
sar jhukae hue yun ab ke hawa chalti hai
jaise wadon se koi shaKHs mukar jata hai
us ne bhi choT koi husn se khai hogi
chand ko dekh samundar jo biphar jata hai
ek aazad rawayye ki mahak hai un mein
dil parindon ki rifaqat mein nikhar jata hai
jab bichhaDta hai koi bansuri ro uThti hai
sham ke sahn mein ek dard bikhar jata hai
lafz aawaz ke jangal mein bhaTakta hai magar
us ke honTon se ada ho to sanwar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.