rang la kar hi raha un ka shabab aaKHir-kar
rang la kar hi raha un ka shabab aaKHir-kar
Abul Baqa Sabr Saharanpuri
MORE BYAbul Baqa Sabr Saharanpuri
rang lā kar hī rahā un kā shabāb āḳhir-kār
jis ne dekhā vo huā ḳhāna-ḳharāb āḳhir-kār
barsoñ qāsid bhī ga.e barsoñ payāmī bhī ga.e
na diyā us ne mire ḳhat kā javāb āḳhir-kār
tār-e-anfās bhī TuuTā unheñ ginte ginte
na huā mere gunāhoñ kā hisāb āḳhir-kār
ro ke kaaTī haiñ tire hijr meñ lākhoñ rāteñ
qabr meñ aaya mirī āñkhoñ meñ ḳhvāb āḳhir-kār
bahr-e-ālam meñ yūñhī josh rahegā tā-hashr
TuuT jā.egā har ik misl-e-habāb āḳhir-kār
shukr hai maut bhī aa.ī mirī maiḳhāne meñ
hosh meñ aaya na maiñ mast-e-ḳharāb āḳhir-kār
us kā mazmūñ hai adaq us kī ibārat dushvār
paḌh sakā maiñ na mohabbat kī kitāb āḳhir-kār
'sabr' maiñ bār-e-jasad chhoḌ ke kyūñkar bhāgūñ
zindagānī mire sar par hai azaab āḳhir-kār
rang la kar hi raha un ka shabab aaKHir-kar
jis ne dekha wo hua KHana-KHarab aaKHir-kar
barson qasid bhi gae barson payami bhi gae
na diya us ne mere KHat ka jawab aaKHir-kar
tar-e-anfas bhi TuTa unhen ginte ginte
na hua mere gunahon ka hisab aaKHir-kar
ro ke kaTi hain tere hijr mein lakhon raaten
qabr mein aaya meri aankhon mein KHwab aaKHir-kar
bahr-e-alam mein yunhi josh rahega ta-hashr
TuT jaega har ek misl-e-habab aaKHir-kar
shukr hai maut bhi aai meri maiKHane mein
hosh mein aaya na main mast-e-KHarab aaKHir-kar
us ka mazmun hai adaq us ki ibarat dushwar
paDh saka main na mohabbat ki kitab aaKHir-kar
'sabr' main bar-e-jasad chhoD ke kyunkar bhagun
zindagani mere sar par hai azab aaKHir-kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.