rang lai hai meri zat se ghaflat meri
rañg laa.ī hai mirī zaat se ġhaflat merī
mere andar mutazalzal hai hukūmat merī
bechtā phirtā huuñ ḳhud ko sar-e-bāzār-e-hayāt
mujh ko rusvā kiye rakhtī hai zarūrat merī
Dūbtā jaatā hai har shaḳhs sar-e-sāhil-e-shab
baḌhtī jaatī hai magar shab se aqīdat merī
āte-jāte haiñ mah-o-mehr bashar kī zad meñ
aur maiñ ḳhush ki daraḳhshāñ hai rivāyat merī
vaqt vo hai ki har ik qadr kā mafhūm nayā
aur be-gāna-e-hālāt tabī.at merī
apne chehre pe sajā.e bhī nahīñ zaḳhm magar
dil kā ā.īna huī jaatī hai sūrat merī
rang lai hai meri zat se ghaflat meri
mere andar mutazalzal hai hukumat meri
bechta phirta hun KHud ko sar-e-bazar-e-hayat
mujh ko ruswa kiye rakhti hai zarurat meri
Dubta jata hai har shaKHs sar-e-sahil-e-shab
baDhti jati hai magar shab se aqidat meri
aate-jate hain mah-o-mehr bashar ki zad mein
aur main KHush ki daraKHshan hai riwayat meri
waqt wo hai ki har ek qadr ka mafhum naya
aur be-gana-e-haalat tabiat meri
apne chehre pe sajae bhi nahin zaKHm magar
dil ka aaina hui jati hai surat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.