rang laya hai umar tera musalman hona
rang laayā hai umar terā musalmāñ honā
varna mushkil thā bahut gul kā gulistāñ honā
kaun phir us ko bahāroñ kī qabā pahnā.e
jis kī taqdīr meñ likkhā ho bayābāñ honā
ham ne dekhā hai faqīroñ kī duāoñ kā asar
ham ne dekhā hai muqaddar kā pashemāñ honā
har pareshānī vahāñ aa ke pareshān huī
jāntā hī nahīñ jo kyā hai pareshāñ honā
kyoñ nahīñ jānte is baat ko duniyā vaale
vajh-e-iflās bhī hai chāk-garebāñ honā
terī qudrat kā karishma hai samajh se bāhar
ya.anī ik biich se paude kā numāyāñ honā
haj kī paa.ī hai zarūr us ne sa.ādat muḳhlis
jis kī qismat meñ likhā pākī-e-isyāñ honā
rang laya hai umar tera musalman hona
warna mushkil tha bahut gul ka gulistan hona
kaun phir us ko bahaaron ki qaba pahnae
jis ki taqdir mein likkha ho bayaban hona
hum ne dekha hai faqiron ki duaon ka asar
hum ne dekha hai muqaddar ka pasheman hona
har pareshani wahan aa ke pareshan hui
jaanta hi nahin jo kya hai pareshan hona
kyon nahin jaante is baat ko duniya wale
wajh-e-iflas bhi hai chaak-gareban hona
teri qudrat ka karishma hai samajh se bahar
yani ek bich se paude ka numayan hona
haj ki pai hai zarur us ne saadat muKHlis
jis ki qismat mein likha paki-e-isyan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.