rang-o-bu ban ke bahar-gam bikharna hoga
rang-o-bū ban ke bahar-gām bikharnā hogā
tujh ko vīrāne se ai dost guzarnā hogā
zindagī gardish-e-daurāñ se pareshāñ hī sahī
merī ḳhātir tumheñ ai dost sañvarnā hogā
yuuñ na badlegā ye mai-ḳhāna-e-getī kā nizām
dil ko āmāda-e-taḳhrīb bhī karnā hogā
ab to shabnam bhī nahīñ hisse meñ kuchh ġhunchoñ ke
un ko ḳhud apnā lahū pī ke nikharnā hogā
sarf kar dūñgā har ik qatra lahū kā apne
rang-e-tasvīr gulistāñ meñ jo bharnā hogā
aaj hai sāz-e-taḳhayyul pe nazar 'mutrib' kī
lahn-e-afkār ko phir aaj sañvarnā hogā
rang-o-bu ban ke bahar-gam bikharna hoga
tujh ko virane se ai dost guzarna hoga
zindagi gardish-e-dauran se pareshan hi sahi
meri KHatir tumhein ai dost sanwarna hoga
yun na badlega ye mai-KHana-e-geti ka nizam
dil ko aamada-e-taKHrib bhi karna hoga
ab to shabnam bhi nahin hisse mein kuchh ghunchon ke
un ko KHud apna lahu pi ke nikharna hoga
sarf kar dunga har ek qatra lahu ka apne
rang-e-taswir gulistan mein jo bharna hoga
aaj hai saz-e-taKHayyul pe nazar 'mutrib' ki
lahn-e-afkar ko phir aaj sanwarna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.