rang-o-KHayal jo bhi hai sara liye hue
rang-o-ḳhayāl jo bhī hai saarā liye hue
apnī ġhazal hai pyaar kā lahja liye hue
un kā bhī sāmnā to qayāmat se kam nahīñ
aa.e haiñ vo hisāb kā parcha liye hue
qismat meñ zindagī thī faqat aur kuchh nahīñ
dariyā vo paar kar gayā tinkā liye hue
us ke nasab pe jis ko bhī shak ho vo dekh le
aayā hai apne saath vo shajra liye hue
shams-o-qamar sitāre jahāñ-bhar kī raunaqeñ
mahfil meñ aa gayā hai vo kyā kyā liye hue
vo intizār kartā rahā aur so gayā
āñkhoñ meñ terī diid kā sapnā liye hue
'tāriq' chalo chaleñ kabhī un ke dayār meñ
kab tak yahāñ phiroge tamanna liye hue
rang-o-KHayal jo bhi hai sara liye hue
apni ghazal hai pyar ka lahja liye hue
un ka bhi samna to qayamat se kam nahin
aae hain wo hisab ka parcha liye hue
qismat mein zindagi thi faqat aur kuchh nahin
dariya wo par kar gaya tinka liye hue
us ke nasab pe jis ko bhi shak ho wo dekh le
aaya hai apne sath wo shajra liye hue
shams-o-qamar sitare jahan-bhar ki raunaqen
mahfil mein aa gaya hai wo kya kya liye hue
wo intizar karta raha aur so gaya
aankhon mein teri did ka sapna liye hue
'tariq' chalo chalen kabhi un ke dayar mein
kab tak yahan phiroge tamanna liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.