rang-o-KHushbu ka jaise Dera hai
rang-o-ḳhushbū kā jaise Derā hai
kitnā dilkash habīb merā hai
us ke chehre ko chāñd kahte haiñ
us kī zulfoñ kā naam añdherā hai
hai vafādār kitnā dil merā
mujh meñ rahtā hai aur terā hai
dekh kar us ko taare bol paḌe
shab kā naam aaj se saverā hai
zindagī jaise koī nāgin hai
maut pīchhe paḌā saperā hai
bas usī dil ko dil kaho sāhib
jis meñ us yaar kā baserā hai
rang-o-KHushbu ka jaise Dera hai
kitna dilkash habib mera hai
us ke chehre ko chand kahte hain
us ki zulfon ka nam andhera hai
hai wafadar kitna dil mera
mujh mein rahta hai aur tera hai
dekh kar us ko tare bol paDe
shab ka nam aaj se sawera hai
zindagi jaise koi nagin hai
maut pichhe paDa sapera hai
bas usi dil ko dil kaho sahib
jis mein us yar ka basera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.