Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rang se rang milata hua jata hua tu

Jahanzeb Sahir

rang se rang milata hua jata hua tu

Jahanzeb Sahir

MORE BYJahanzeb Sahir

    rañg se rañg milātā huā jaatā huā

    kahkashāñ ek banātā huā jaatā huā

    duur se terī taraf bhaag ke aatā huā maiñ

    duur se haath hilātā huā jaatā huā

    aage aage maiñ ḳhad-o-ḳhāl banātā jā.ūñ

    pīchhe pīchhe vo miTātā huā jaatā huā

    sone vāloñ ko na.e ḳhvāb muhayyā kar ke

    sabz qindīl jalātā huā jaatā huā

    paañv paḌtā huā rotā huā girtā huā maiñ

    aur mirā haath chhuḌātā huā jaatā huā

    merī ḳhvāhish thī ki barbād karūñ maiñ ḳhud ko

    merī ḳhvāhish batātā huā jaatā huā

    saḳht māyūs pashemān guzartā huā maiñ

    muskurātā huā gaatā huā jaatā huā

    jitnī āñkheñ haiñ vo hairān huī jaatī haiñ

    aur mire sher sunātā huā jaatā huā

    jaise nākām koī shaḳhs ho vaise 'sāhir'

    ek cigarette ko jalātā huā jaatā huā

    rang se rang milata hua jata hua tu

    kahkashan ek banata hua jata hua tu

    dur se teri taraf bhag ke aata hua main

    dur se hath hilata hua jata hua tu

    aage aage main KHad-o-KHal banata jaun

    pichhe pichhe wo miTata hua jata hua tu

    sone walon ko nae KHwab muhayya kar ke

    sabz qindil jalata hua jata hua tu

    panw paDta hua rota hua girta hua main

    aur mera hath chhuData hua jata hua tu

    meri KHwahish thi ki barbaad karun main KHud ko

    meri KHwahish ka batata hua jata hua tu

    saKHt mayus pasheman guzarta hua main

    muskuraata hua gata hua jata hua tu

    jitni aankhen hain wo hairan hui jati hain

    aur mere sher sunata hua jata hua tu

    jaise nakaam koi shaKHs ho waise 'sahir'

    ek cigarette ko jalata hua jata hua tu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now