Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rang tamam bhar chuki subh-ba-KHair zindagi

Ameer Imam

rang tamam bhar chuki subh-ba-KHair zindagi

Ameer Imam

MORE BYAmeer Imam

    rang tamām bhar chukī sub.h-ba-ḳhair zindagī

    mujh meñ qazā nikhar chukī sub.h-ba-ḳhair zindagī

    tere bhī zaḳhm bhar diye aur havā-e-vaqt ab

    mere bhī zaḳhm bhar chukī sub.h-ba-ḳhair zindagī

    dil meñ kisī ḳhayāl raat havā chalī bahut

    ab vo havā Thahar chukī sub.h-ba-ḳhair zindagī

    bujh ga.e sab charāġh ḳhud qissa-e-mā tamām-shud

    pahlī kiran utar chukī sub.h-ba-ḳhair zindagī

    ā.ina-e-ḳhalā meñ ab maiñ bhī bahut sañvar chukā

    bhī bahut sañvar chukī sub.h-ba-ḳhair zindagī

    raat nahīñ guzar sakī mujh se jo ek 'umr tak

    raat vo ab guzar chukī sub.h-ba-ḳhair zindagī

    yaad nahīñ hai shakl jo ye to usī shakl hai

    shakl tirī ubhar chukī sub.h-ba-ḳhair zindagī

    rang tamam bhar chuki subh-ba-KHair zindagi

    mujh mein qaza nikhar chuki subh-ba-KHair zindagi

    tere bhi zaKHm bhar diye aur hawa-e-waqt ab

    mere bhi zaKHm bhar chuki subh-ba-KHair zindagi

    dil mein kisi KHayal ki raat hawa chali bahut

    ab wo hawa Thahar chuki subh-ba-KHair zindagi

    bujh gae sab charagh KHud qissa-e-ma tamam-shud

    pahli kiran utar chuki subh-ba-KHair zindagi

    aaina-e-KHala mein ab main bhi bahut sanwar chuka

    tu bhi bahut sanwar chuki subh-ba-KHair zindagi

    raat nahin guzar saki mujh se jo ek 'umr tak

    raat wo ab guzar chuki subh-ba-KHair zindagi

    yaad nahin hai shakl jo ye to usi ki shakl hai

    shakl teri ubhar chuki subh-ba-KHair zindagi

    Source :
    • Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 21)
    • Author : Ameer Imam
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now