rang to rang ujala bhi nahin hai shayad
rang to rang ujala bhi nahin hai shayad
Abdus Sami Siddiqui Naeem
MORE BYAbdus Sami Siddiqui Naeem
rang to rang ujālā bhī nahīñ hai shāyad
dil meñ ab koī Thahartā bhī nahīñ hai shāyad
soch meñ gum nahīñ rahtā kisī būḌhe kī tarah
dil ki rotā huā bachcha bhī nahīñ hai shāyad
mere aañsū bhī use rok na paa.e yaaro
mujh ko rone kā salīqa bhī nahīñ hai shāyad
tū bhī us shoḳh kī mānind nazar aatī hai
zindagī terā bharosa bhī nahīñ hai shāyad
duur tak phailī huī raat kī chādar hai 'na'īm'
koī chamkī koī buuTā bhī nahīñ hai shāyad
rang to rang ujala bhi nahin hai shayad
dil mein ab koi Thaharta bhi nahin hai shayad
soch mein gum nahin rahta kisi buDhe ki tarah
dil ki rota hua bachcha bhi nahin hai shayad
mere aansu bhi use rok na pae yaro
mujh ko rone ka saliqa bhi nahin hai shayad
tu bhi us shoKH ki manind nazar aati hai
zindagi tera bharosa bhi nahin hai shayad
dur tak phaili hui raat ki chadar hai 'na'im'
koi chamki koi buTa bhi nahin hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.