rang to zist ke ek roz nikhar jaenge
rang to ziist ke ik roz nikhar jā.eñge
par ka.ī chehre nigāhoñ se utar jā.eñge
ik isī aas pe zinda huuñ ka.ī barsoñ se
zindagānī ke ye hālāt sudhar jā.eñge
ham ko jaane de yahāñ se ki tirī bazm meñ ham
aur kuchh der agar Thahre to mar jā.eñge
ye mirā 'azm mirā hausla mere tevar
shaam hote hī tire ġham meñ bikhar jā.eñge
tū to nādān hai 'tāriq' ye bharam hai terā
vaqt paḌte hī tire dost mukar jā.eñge
rang to zist ke ek roz nikhar jaenge
par kai chehre nigahon se utar jaenge
ek isi aas pe zinda hun kai barson se
zindagani ke ye haalat sudhar jaenge
hum ko jaane de yahan se ki teri bazm mein hum
aur kuchh der agar Thahre to mar jaenge
ye mera 'azm mera hausla mere tewar
sham hote hi tere gham mein bikhar jaenge
tu to nadan hai 'tariq' ye bharam hai tera
waqt paDte hi tere dost mukar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.