rangat chehra aankhen aariz lab dhutkarega
rangat chehra āñkheñ 'āriz lab dhutkāregā
faḳhr takabbur 'ādat jis kī sab dhutkāregā
us ne ḳhūbī de dī hai to mat itrā kar chal
us ke bande dhutkāre to rab dhutkāregā
ġhurbat to har haal meñ rab kā shukr sikhātī hai
jis ko bhuuk ne Das rakkhā ho kab dhutkāregā
hirs-o-havas ke shaidā.ī aur matlab ke bande
paaoñ se lipTeñge tere jab dhutkāregā
maulā ham par mat laanā aise be-dīde din
jab har banda duuje kā maz.hab dhutkāregā
'ishq-navāz ko kab hotī hai māl-o-zar kī chaah
faqr chunegā 'ohda aur mansab dhutkāregā
dil us ko de baiThe haiñ aur ab ham ḳhālī haath
vo jab chāhe matlab bin matlab dhutkāregā
rangat chehra aankhen 'ariz lab dhutkarega
faKHr takabbur 'adat jis ki sab dhutkarega
us ne KHubi de di hai to mat itra kar chal
us ke bande dhutkare to rab dhutkarega
ghurbat to har haal mein rab ka shukr sikhati hai
jis ko bhuk ne Das rakkha ho kab dhutkarega
hirs-o-hawas ke shaidai aur matlab ke bande
paon se lipTenge tere jab dhutkarega
maula hum par mat lana aise be-dide din
jab har banda duje ka mazhab dhutkarega
'ishq-nawaz ko kab hoti hai mal-o-zar ki chah
faqr chunega 'ohda aur mansab dhutkarega
dil us ko de baiThe hain aur ab hum KHali hath
wo jab chahe matlab bin matlab dhutkarega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.