rangat tere badan ki gulabon mein ab nahin
rañgat tire badan kī gulāboñ meñ ab nahīñ
naġhme kā dard bhī to rabāboñ meñ ab nahīñ
ham hī to ek ḳhāna-ḳharāboñ meñ ab nahīñ
vo kaun shaḳhs hai jo azāboñ meñ ab nahīñ
terā visāl terī tamanna to duur hai
terā ḳhayāl bhī mire ḳhvāboñ meñ ab nahīñ
hairāniyoñ meñ uljhe hue haiñ dil-o-dimāġh
vo dil-farebiyāñ bhī sarāboñ meñ ab nahīñ
chehroñ se jis qadar hai 'jahāñgīr' ġham ayaañ
tahrīr is tarah se kitāboñ meñ ab nahīñ
rangat tere badan ki gulabon mein ab nahin
naghme ka dard bhi to rababon mein ab nahin
hum hi to ek KHana-KHarabon mein ab nahin
wo kaun shaKHs hai jo azabon mein ab nahin
tera visal teri tamanna to dur hai
tera KHayal bhi mere KHwabon mein ab nahin
hairaniyon mein uljhe hue hain dil-o-dimagh
wo dil-farebiyan bhi sarabon mein ab nahin
chehron se jis qadar hai 'jahangir' gham ayan
tahrir is tarah se kitabon mein ab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.