rangaton ke jo ye paikar hain miyan
rangatoñ ke jo ye paikar haiñ miyāñ
chalte phirte hue manzar haiñ miyāñ
chāñd tāroñ se na dhokā khaao
raat ke haath meñ patthar haiñ miyāñ
tishnagī le ke na vāpas jaao
in sarāboñ meñ samundar haiñ miyāñ
aap hāthoñ kī lakīreñ dikhlā.eñ
ham to qaumoñ kā muqaddar haiñ miyāñ
'shād'-o-'mahshar' ke vatan meñ 'az.har'
aap bhī koī suḳhanvar haiñ miyāñ
rangaton ke jo ye paikar hain miyan
chalte phirte hue manzar hain miyan
chand taron se na dhoka khao
raat ke hath mein patthar hain miyan
tishnagi le ke na wapas jao
in sarabon mein samundar hain miyan
aap hathon ki lakiren dikhlaen
hum to qaumon ka muqaddar hain miyan
'shad'-o-'mahshar' ke watan mein 'azhar'
aap bhi koi suKHanwar hain miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.