rangin-nazaran lala-ruKHan yun to bahut hain
rangīñ-nazarāñ lāla-ruḳhāñ yuuñ to bahut haiñ
mas.hūr nigāh-o-dil-o-jāñ yuuñ to bahut haiñ
ham hī haiñ ki jin ke liye ḳhud chal paḌī manzil
varna sū-e-manzil nigarāñ yuuñ to bahut haiñ
hai kaun guzar jaa.e jo is mauj-e-balā se
āshufta-e-gesū-e-butāñ yuuñ to bahut haiñ
ab dekhiye ye bār-e-karam uThtā hai kaise
ham ḳhūgar-e-bedād-e-butāñ yuuñ to bahut haiñ
dil kāvish-e-daurāñ se pareshān hai varna
nazzāre nigāhoñ meñ javāñ yuuñ to bahut haiñ
hai tere hī ġham se ġham-e-kaunain ibārat
kahne ko ġham-e-kaun-o-makāñ yuuñ bahut haiñ
me.ayār hai bas tū hī mire husn-e-nazar kā
firdaus-e-nazar ḳhush-nazarāñ yuuñ to bahut haiñ
ham haiñ vo jinheñ ġham ne tire pyaar kiyā hai
āshufta-dil-o-sho.ala-ba-jāñ yuuñ to bahut haiñ
hamrāh agar tum ho to kyā fikr 'ġhanī' ko
haañ ishq meñ ranj aur ziyāñ yuuñ to bahut haiñ
rangin-nazaran lala-ruKHan yun to bahut hain
mashur nigah-o-dil-o-jaan yun to bahut hain
hum hi hain ki jin ke liye KHud chal paDi manzil
warna su-e-manzil nigaran yun to bahut hain
hai kaun guzar jae jo is mauj-e-bala se
aashufta-e-gesu-e-butan yun to bahut hain
ab dekhiye ye bar-e-karam uThta hai kaise
hum KHugar-e-bedad-e-butan yun to bahut hain
dil kawish-e-dauran se pareshan hai warna
nazzare nigahon mein jawan yun to bahut hain
hai tere hi gham se gham-e-kaunain ibarat
kahne ko gham-e-kaun-o-makan yun bahut hain
meayar hai bas tu hi mere husn-e-nazar ka
firdaus-e-nazar KHush-nazaran yun to bahut hain
hum hain wo jinhen gham ne tere pyar kiya hai
aashufta-dil-o-shoala-ba-jaan yun to bahut hain
hamrah agar tum ho to kya fikr 'ghani' ko
han ishq mein ranj aur ziyan yun to bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.