rangin pahan ke aae ki sada pasand hai
rangīñ pahan ke aa.e ki saada pasand hai
us gul-badan kā jo ho labāda pasand hai
nazroñ se likh rahā huuñ ruḳh-e-ābdār par
mujh ko yahī gulāb ziyāda pasand hai
har zarra-e-zamīñ pe mirī aañkh hai magar
gaañv kī ek nahr ziyāda pasand hai
shohrat-pasand hote haiñ saare hasīn log
ḳhushbū ko bhī fazā-e-kushāda pasand hai
jis kā ġhubār jism kī poshāk ban gayā
mujh pā-barahna ko vahī jaada pasand hai
pahle qadam jamāne haiñ 'rāshid' zamīn par
phir jo bhī ho zamīñ kā irāda pasand hai
rangin pahan ke aae ki sada pasand hai
us gul-badan ka jo ho labaada pasand hai
nazron se likh raha hun ruKH-e-abdar par
mujh ko yahi gulab ziyaada pasand hai
har zarra-e-zamin pe meri aankh hai magar
ganw ki ek nahr ziyaada pasand hai
shohrat-pasand hote hain sare hasin log
KHushbu ko bhi faza-e-kushada pasand hai
jis ka ghubar jism ki poshak ban gaya
mujh pa-barahna ko wahi jada pasand hai
pahle qadam jamane hain 'rashid' zamin par
phir jo bhi ho zamin ka irada pasand hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.