rangon mein zist karne ka saman de gaya
rañgoñ meñ ziist karne kā sāmān de gayā
gul ko mahak mahak ko gulistān de gayā
mahdūd soch thī mirī dīvāroñ meñ paḌī
mere ḳhayāloñ ko na.e vijdān de gayā
chehra dikhā gayā hai mujhe duniyā kā koī
shīsha dikhā ke apnoñ kī pahchān de gayā
dars-e-vafā kī kartā thā tablīġh jo hameñ
paḌhne ko phir ġhamoñ ke vo dīvān de gayā
jaarī huā mahak jo samundar hai palkoñ se
ḳhāmosh āñkheñ thiiñ mirī tūfān de gayā
rangon mein zist karne ka saman de gaya
gul ko mahak mahak ko gulistan de gaya
mahdud soch thi meri diwaron mein paDi
mere KHayalon ko nae wijdan de gaya
chehra dikha gaya hai mujhe duniya ka koi
shisha dikha ke apnon ki pahchan de gaya
dars-e-wafa ki karta tha tabligh jo hamein
paDhne ko phir ghamon ke wo diwan de gaya
jari hua mahak jo samundar hai palkon se
KHamosh aankhen thin meri tufan de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.