ranj-e-duniya fikr-e-uqba jaane kya kya dil mein hai
Interesting Fact
Urdu Study Circle Series, Ghalib Day- 11 Jan 1969
ranj-e-duniyā fikr-e-uqbā jaane kyā kyā dil meñ hai
zindagī do din kī apnī saikḌoñ mushkil meñ hai
rāh-e-ulfat meñ bahut kuchh ḳhaak bhī chhānī magar
merī jānib se ġhubār ab tak kisī ke dil meñ hai
vo jafā-pesha jafā-jū hai jafā us kī sarisht
jis ko kahte haiñ vafā vo mere āb-o-gil meñ hai
tah-nashīñ ho kar milī mauj-e-havādis se najāt
kashti-e-umr-e-ravāñ ab dāman-e-sāhil meñ hai
saḳht-jānī se mirī paalā agar paḌtā use
dekhtā phir zor kitnā bāzū-e-qātil meñ hai
apnī apnī gā rahe haiñ donoñ shaiḳh-o-barhaman
dair-o-kā'ba meñ kahāñ hai jo harīm-e-dil meñ hai
marhale har roz insāñ ko na.e aate haiñ pesh
aaj us manzil meñ hai kal dūsrī manzil meñ hai
kuchh to pās-e-husn kuchh un kī nazar kā sāmnā
vo zabāñ par lā nahīñ saktā jo mere dil meñ hai
jāntā huuñ go ma.āl-e-hazrat-e-ādam magar
kū-e-jānāñ kī tamannā phir bhī mere dil meñ hai
dekhiye ā.īna-e-pīrī meñ phir bachpan kā haal
'ahd-e-māzī kī jhalak kuchh ahd-e-mustaqbil meñ hai
soch kar fariyād kā anjām maiñ ḳhāmosh huuñ
varna ab bhī quvvat-e-fariyād mere dil meñ hai
hai shikast-e-be-sutūñ me.ār-e-istedād-e-ishq
kohkan kā naam fard-e-jauhar-e-qābil meñ hai
ishq-e-majnūñ ne kuchh ūñchā kar diyā meyār-e-husn
varna lailā kī haqīqat parda-e-mahmil meñ hai
koī hai sāġhar-ba-kaf koī surāhī-dar-baġhal
tishna-kām ab tak magar 'sho.ala' tirī mahfil meñ hai
ranj-e-duniya fikr-e-uqba jaane kya kya dil mein hai
zindagi do din ki apni saikDon mushkil mein hai
rah-e-ulfat mein bahut kuchh KHak bhi chhani magar
meri jaanib se ghubar ab tak kisi ke dil mein hai
wo jafa-pesha jafa-ju hai jafa us ki sarisht
jis ko kahte hain wafa wo mere aab-o-gil mein hai
tah-nashin ho kar mili mauj-e-hawadis se najat
kashti-e-umr-e-rawan ab daman-e-sahil mein hai
saKHt-jaani se meri pala agar paDta use
dekhta phir zor kitna bazu-e-qatil mein hai
apni apni ga rahe hain donon shaiKH-o-barhaman
dair-o-ka'ba mein kahan hai jo harim-e-dil mein hai
marhale har roz insan ko nae aate hain pesh
aaj us manzil mein hai kal dusri manzil mein hai
kuchh to pas-e-husn kuchh un ki nazar ka samna
wo zaban par la nahin sakta jo mere dil mein hai
jaanta hun go maal-e-hazrat-e-adam magar
ku-e-jaanan ki tamanna phir bhi mere dil mein hai
dekhiye aaina-e-piri mein phir bachpan ka haal
'ahd-e-mazi ki jhalak kuchh ahd-e-mustaqbil mein hai
soch kar fariyaad ka anjam main KHamosh hun
warna ab bhi quwwat-e-fariyaad mere dil mein hai
hai shikast-e-be-sutun mear-e-istedad-e-ishq
kohkan ka nam fard-e-jauhar-e-qabil mein hai
ishq-e-majnun ne kuchh uncha kar diya meyar-e-husn
warna laila ki haqiqat parda-e-mahmil mein hai
koi hai saghar-ba-kaf koi surahi-dar-baghal
tishna-kaam ab tak magar 'shoala' teri mahfil mein hai
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 157)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.