ranj ho ya koi KHushi apni
ranj ho yā koī ḳhushī apnī
tujh se vābasta zindagī apnī
naam terā vazīfa-e-dil-o-jāñ
pyaar terā hai bandagī apnī
dil kā rishta aTuuT rishta hai
nisbateñ tujh se dā.imī apnī
dil lagā kar kisī se dekh liyā
rang laa.ī hai dil-lagī apnī
us nazar kā ajiib afsūñ thā
zindagī jis meñ kho ga.ī apnī
sun to liije fasāna-e-ġham-e-dil
rok liije zarā hañsī apnī
un ko dekhā to ye lagā hai 'nasīm'
aaj dil kī kalī khilī apnī
ranj ho ya koi KHushi apni
tujh se wabasta zindagi apni
nam tera wazifa-e-dil-o-jaan
pyar tera hai bandagi apni
dil ka rishta aTuT rishta hai
nisbaten tujh se daimi apni
dil laga kar kisi se dekh liya
rang lai hai dil-lagi apni
us nazar ka ajib afsun tha
zindagi jis mein kho gai apni
sun to lije fasana-e-gham-e-dil
rok lije zara hansi apni
un ko dekha to ye laga hai 'nasim'
aaj dil ki kali khili apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.