ranj-o-gham dard-o-alam aaj ubhar aae hain
ranj-o-ġham dard-o-alam aaj ubhar aa.e haiñ
muddatoñ baa'd ke bhaTke hue ghar aa.e haiñ
vo mohabbat kā samundar thā jahāñ ġharq hue
ab tirī yaad kā sahrā hai jidhar aa.e haiñ
gardish-e-vaqt batā kyā yahī qismat hai mirī
hādse saath meñ chalte hue ghar aa.e haiñ
'ishq hai kaisā tilismāt ke sahrā meñ mujhe
qais kahtā hai ki ham chāñd-nagar aa.e haiñ
shāḳh-e-girya mirī maġhmūm huī jaatī hai
is baras sūkhe daraḳhtoñ pe samar aa.e haiñ
aap ke aane kā ilhām huā thā ham ko
aap ke aane se pahle hī sañvar aa.e haiñ
aaj phir manzileñ ā.eñgī tavāf-e-girya
aaj phir bāñdh ke ham raḳht-e-safar aa.e haiñ
ranj-o-gham dard-o-alam aaj ubhar aae hain
muddaton ba'd ke bhaTke hue ghar aae hain
wo mohabbat ka samundar tha jahan gharq hue
ab teri yaad ka sahra hai jidhar aae hain
gardish-e-waqt bata kya yahi qismat hai meri
hadse sath mein chalte hue ghar aae hain
'ishq hai kaisa tilismat ke sahra mein mujhe
qais kahta hai ki hum chand-nagar aae hain
shaKH-e-girya meri maghmum hui jati hai
is baras sukhe daraKHton pe samar aae hain
aap ke aane ka ilham hua tha hum ko
aap ke aane se pahle hi sanwar aae hain
aaj phir manzilen aaengi tawaf-e-girya
aaj phir bandh ke hum raKHt-e-safar aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.