ranj-o-gham maine uThaya so uThaya tanha
ranj-o-ġham maiñ ne uThāyā so uThāyā tanhā
kisī āshiq ko na rakhnā tū ḳhudāyā tanhā
ise kahte haiñ itā.at ki gayā maiñ be-ḳhud
yaar ne jab mujhe ḳhalvat meñ bulāyā tanhā
ḳhizr kā qāfila-e-hosh jahāñ par huā gum
mujhe vahshat ne vahāñ rātoñ phirāyā tanhā
kis zabāñ se karūñ ai tang-dilī terā shukr
ġhair ko jā na milī yaar samāyā tanhā
ma.arifat ġhair ke qāsid ko milā thā vo payām
ki mujhe vah.y ke mānind sunāyā tanhā
vasl kī raat bhī kambaḳht hayā saath rahī
hasb-e-ḳhvāhish vo mire paas kab aaya tanhā
us farebī ne shab iqrār ġhalat farmā kar
apne dar par mujhe tā-sub.h biThāyā tanhā
dar-guzar ġham na kare dushman-e-jāñ merā thā
tere hijrāñ meñ bhī us ne mujhe paayā tanhā
kazkul-e-rashk ne us ke varaq-e-mahfil se
harf-e-bejā kī tarah mujh ko uThāyā tanhā
ghar ko gor aap ko murda maiñ 'shahīdī' samjhā
yaar bin baḳht ne jis raat sulāyā tanhā
ranj-o-gham main ne uThaya so uThaya tanha
kisi aashiq ko na rakhna tu KHudaya tanha
ise kahte hain itaat ki gaya main be-KHud
yar ne jab mujhe KHalwat mein bulaya tanha
KHizr ka qafila-e-hosh jahan par hua gum
mujhe wahshat ne wahan raaton phiraya tanha
kis zaban se karun ai tang-dili tera shukr
ghair ko ja na mili yar samaya tanha
marifat ghair ke qasid ko mila tha wo payam
ki mujhe wahy ke manind sunaya tanha
wasl ki raat bhi kambaKHt haya sath rahi
hasb-e-KHwahish wo mere pas kab aaya tanha
us farebi ne shab iqrar ghalat farma kar
apne dar par mujhe ta-subh biThaya tanha
dar-guzar gham na kare dushman-e-jaan mera tha
tere hijran mein bhi us ne mujhe paya tanha
kazkul-e-rashk ne us ke waraq-e-mahfil se
harf-e-beja ki tarah mujh ko uThaya tanha
ghar ko gor aap ko murda main 'shahidi' samjha
yar bin baKHt ne jis raat sulaya tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.