ranj-o-gham se mera rabta ho gaya
ranj-o-ġham se mirā rābta ho gayā
zindagī kyā huī hādisa ho gayā
duur itnā gayā maiñ mujhe DhūñDne
ḳhud ke andar hī maiñ lāpata ho gayā
thā vo guzrā jahāñ se huuñ maiñ bhī vahīñ
naqsh-e-pā hī mirā rāsta ho gayā
zaḳhm dil par sahe hoñ hazāroñ agar
kyā huā paañv meñ aabla ho gayā
kyā ajab dāstāñ terī merī rahī
paas aate rahe fāsla ho gayā
haath se apne jis ko tarāshā gayā
vo hī patthar mirā ab ḳhudā ho gayā
ranj-o-gham se mera rabta ho gaya
zindagi kya hui hadisa ho gaya
dur itna gaya main mujhe DhunDne
KHud ke andar hi main lapata ho gaya
tha wo guzra jahan se hun main bhi wahin
naqsh-e-pa hi mera rasta ho gaya
zaKHm dil par sahe hon hazaron agar
kya hua panw mein aabla ho gaya
kya ajab dastan teri meri rahi
pas aate rahe fasla ho gaya
hath se apne jis ko tarasha gaya
wo hi patthar mera ab KHuda ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.