ranj sahe aaram se pahle
ranj sahe ārām se pahle
kufr milā islām se pahle
hirs-o-havas ke panchhī tū ne
daana dekhā daam se pahle
husn tumhārā mere dil par
naqsh huā hai naam se pahle
mast banā de chashm-e-sāqī
mujh ko atā-e-jām se pahle
ruḳh pe ġhāza dosh pe zulfeñ
sub.h-e-daraḳhshāñ shaam se pahle
dil kī bābat pūchhte kyā ho
ka.aba thā asnām se pahle
un kā jalva pesh-e-nazar hai
arz-e-dil-e-nākām se pahle
ishq hī jab paiġhām-e-‘muhib’ hai
pahuñchā har paiġhām se pahle
ranj sahe aaram se pahle
kufr mila islam se pahle
hirs-o-hawas ke panchhi tu ne
dana dekha dam se pahle
husn tumhaara mere dil par
naqsh hua hai nam se pahle
mast bana de chashm-e-saqi
mujh ko ata-e-jam se pahle
ruKH pe ghaza dosh pe zulfen
subh-e-daraKHshan sham se pahle
dil ki babat puchhte kya ho
kaba tha asnam se pahle
un ka jalwa pesh-e-nazar hai
arz-e-dil-e-nakaam se pahle
ishq hi jab paigham-e-‘muhib’ hai
pahuncha har paigham se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.