ranj sahte hain gham uThate hain
ranj sahte haiñ ġham uThāte haiñ
phir bhī ham muskurā.e jaate haiñ
tere kushtoñ kī hai yahī gangā
apne hī ḳhuun meñ nahāte haiñ
zabt se laakh kaam le koī
ishq ke raaz khul hī jaate haiñ
ham sā dushman na ho koī apnā
dostī kā fareb khāte haiñ
dil churāyā nahīñ agar merā
mujh se āñkheñ vo kyoñ churāte haiñ
soz-e-ulfat ke dil-nashīñ naġhme
sāz-e-dil par hī gaa.e jaate haiñ
ḳhush-dilī aate aate aatī hai
ranj-o-ġham jaate jaate jaate haiñ
rashk kī had hai ye ki ham un ko
apnī nazroñ se bhī chhupāte haiñ
manzil-e-dost aa ga.ī 'shaidā'
paañv kyoñ laḌkhaḌā.e jaate haiñ
ranj sahte hain gham uThate hain
phir bhi hum muskurae jate hain
tere kushton ki hai yahi ganga
apne hi KHun mein nahate hain
zabt se lakh kaam le koi
ishq ke raaz khul hi jate hain
hum sa dushman na ho koi apna
dosti ka fareb khate hain
dil churaya nahin agar mera
mujh se aankhen wo kyon churaate hain
soz-e-ulfat ke dil-nashin naghme
saz-e-dil par hi gae jate hain
KHush-dili aate aate aati hai
ranj-o-gham jate jate jate hain
rashk ki had hai ye ki hum un ko
apni nazron se bhi chhupate hain
manzil-e-dost aa gai 'shaida'
panw kyon laDkhaDae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.