ranj se waqif KHushi se aashna hone na de
rañj se vāqif ḳhushī se āshnā hone na de
zindagī ko apne maqsad se judā hone na de
ishq jab tak tai na kar le manzileñ īsār kī
dard kī lazzat se dil ko āshnā hone na de
aur jo kuchh ho hameñ manzūr hai yārab magar
aadmī ko aadmī kā aasrā hone na de
dard-e-dil kahiye jise us kī to ye pahchān hai
bhuul kar jo haath siine se judā hone na de
ishq jis dil meñ jaḌeñ apnī jamā le ek baar
umr-bhar naḳhl-e-tamannā ko harā hone na de
nāḳhudā kī koshisheñ be-kār tadbīreñ abas
paar jab mañjdhār se beḌā ḳhudā hone na de
rāh-e-hastī meñ jo 'ja.afar' har qadam par moḌ haiñ
har kas-o-nā-kas ko apnā rahnumā hone na de
ranj se waqif KHushi se aashna hone na de
zindagi ko apne maqsad se juda hone na de
ishq jab tak tai na kar le manzilen isar ki
dard ki lazzat se dil ko aashna hone na de
aur jo kuchh ho hamein manzur hai yarab magar
aadmi ko aadmi ka aasra hone na de
dard-e-dil kahiye jise us ki to ye pahchan hai
bhul kar jo hath sine se juda hone na de
ishq jis dil mein jaDen apni jama le ek bar
umr-bhar naKHl-e-tamanna ko hara hone na de
naKHuda ki koshishen be-kar tadbiren abas
par jab manjdhaar se beDa KHuda hone na de
rah-e-hasti mein jo 'jafar' har qadam par moD hain
har kas-o-na-kas ko apna rahnuma hone na de
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 122)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.