ranjishen kar ke na logon se baghawat kar ke
ranjisheñ kar ke na logoñ se baġhāvat kar ke
ḳhud ko paayā hai agar maiñ ne mohabbat kar ke
ibn-e-ādam kā taqāzā nahīñ badlegā magar
dekhnā hai to kabhī dekh qayāmat kar ke
yuuñ to har baat hī pahle se patā hai lekin
kuchh sukūñ chāhiye is dil ko shikāyat kar ke
raat din dauḌtī phirtī hai havā kūche meñ
aur charāġhoñ ko dikhānā hai hifāzat kar ke
bebasī ne mujhe is baar bhī rone na diyā
fā.eda kuchh nahīñ hotā hai riyāzat kar ke
aaj bhī log ḳhudā ke liye laḌte haiñ yahāñ
chain miltā hī nahīñ jin ko 'ibādat kar ke
ranjishen kar ke na logon se baghawat kar ke
KHud ko paya hai agar main ne mohabbat kar ke
ibn-e-adam ka taqaza nahin badlega magar
dekhna hai to kabhi dekh qayamat kar ke
yun to har baat hi pahle se pata hai lekin
kuchh sukun chahiye is dil ko shikayat kar ke
raat din dauDti phirti hai hawa kuche mein
aur charaghon ko dikhana hai hifazat kar ke
bebasi ne mujhe is bar bhi rone na diya
faeda kuchh nahin hota hai riyazat kar ke
aaj bhi log KHuda ke liye laDte hain yahan
chain milta hi nahin jin ko 'ibaadat kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.