ranjishen sab chhoD din sab se laDai chhoD di
ranjisheñ sab chhoḌ diiñ sab se laḌā.ī chhoḌ dī
aib thā sach bolnā maiñ ne burā.ī chhoḌ dī
kū-e-jānāñ meñ bhalā ab dekhne ko kyā milā
sun rahā huuñ aap ne bhī bevafā.ī chhoḌ dī
zehn meñ ubhre the yuuñ hī bevafā yāroñ ke naam
likhte likhte kyuuñ qalam ne raushnā.ī chhoḌ dī
ham se pūchho kis liye ḳhālī ḳhazāne ho ga.e
shāhzādoñ ne faqīroñ kī gadā.ī chhoḌ dī
ranjishen sab chhoD din sab se laDai chhoD di
aib tha sach bolna main ne burai chhoD di
ku-e-jaanan mein bhala ab dekhne ko kya mila
sun raha hun aap ne bhi bewafai chhoD di
zehn mein ubhre the yun hi bewafa yaron ke nam
likhte likhte kyun qalam ne raushnai chhoD di
hum se puchho kis liye KHali KHazane ho gae
shahzadon ne faqiron ki gadai chhoD di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.