ranjishen tauq-o-sinan hi de gain
ranjisheñ tauq-o-sināñ hī de ga.iiñ
bastiyoñ ko bhī dhuāñ hī de ga.iiñ
jin se vābasta thiiñ ummīdeñ bahut
vo bahāreñ bhī ḳhizāñ hī de ga.iiñ
bastiyāñ mujh ḳhānamāñ-barbād ko
aah dasht-e-be-makāñ hī de ga.iiñ
be-yaqīnī ke bhañvar ko chuum kar
kashtiyāñ bahr-e-gumāñ hī de ga.iiñ
irtiqā-e-zindagī kī manzileñ
imtihānoñ kā jahāñ hī de ga.iiñ
rāhatoñ kī mastiyāñ 'maqsūd' ko
ḳhud-parastī kā samāñ hī de ga.iiñ
ranjishen tauq-o-sinan hi de gain
bastiyon ko bhi dhuan hi de gain
jin se wabasta thin ummiden bahut
wo bahaaren bhi KHizan hi de gain
bastiyan mujh KHanaman-barbaad ko
aah dasht-e-be-makan hi de gain
be-yaqini ke bhanwar ko chum kar
kashtiyan bahr-e-guman hi de gain
irtiqa-e-zindagi ki manzilen
imtihanon ka jahan hi de gain
rahaton ki mastiyan 'maqsud' ko
KHud-parasti ka saman hi de gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.