raqam kiye na gae ishq ke fasane phir
raqam kiye na ga.e ishq ke fasāne phir
palaT ke aa.e na vo vasl ke zamāne phir
phir aa.ī hai vahī ik baat mere hoñToñ par
kiye haiñ aaj bhī us ne vahī bahāne phir
sivā hamāre tumhārā sipar hai kaun yahāñ
diye haiñ ḳhāroñ ne phūloñ ko aaj ta.ane phir
isī sabab se maiñ nīñdoñ se ḳhauf khātā huuñ
dikhā.ī de na kahīñ ḳhvāb vo purāne phir
lipaT ke roī hai phir aaj mujh se tanhā.ī
kisī ne gaa.e haiñ yaañ hijr ke tarāne phir
ajab sitam hai ki apnī nazar ke tīroñ se
lagā rahā hai mire dil pe vo nishāne phir
kisī kā pyaar koī phir se le uḌā hai aaj
baje haiñ mere mohalle meñ shādiyāne phir
raqam kiye na gae ishq ke fasane phir
palaT ke aae na wo wasl ke zamane phir
phir aai hai wahi ek baat mere honTon par
kiye hain aaj bhi us ne wahi bahane phir
siwa hamare tumhaara sipar hai kaun yahan
diye hain KHaron ne phulon ko aaj tane phir
isi sabab se main nindon se KHauf khata hun
dikhai de na kahin KHwab wo purane phir
lipaT ke roi hai phir aaj mujh se tanhai
kisi ne gae hain yan hijr ke tarane phir
ajab sitam hai ki apni nazar ke tiron se
laga raha hai mere dil pe wo nishane phir
kisi ka pyar koi phir se le uDa hai aaj
baje hain mere mohalle mein shadiyane phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.