raqib joD chala tum malal kar baiThe
raqīb joḌ chalā tum malāl kar baiThe
kidhar ḳhayāl gayā kyā ḳhayāl kar baiThe
ḳhayāl isī pe rahe dekh-bhāl kar baiThe
tumhārī bazm meñ dil ko sañbhāl kar baiThe
mire gunāh par in zāhidoñ ko hairat hai
ye aadmī ko farishta ḳhayāl kar baiThe
bachā.ūñ kyūñkar ise kis tarah unheñ Tālūñ
ġhazab huā ki vo dil kā savāl kar baiThe
raqīb ḳhush hue ab to tumheñ qarār aaya
ki misl-e-rang mirā ḳhuun uchhāl kar baiThe
falak kī chaal hai ye aadmī kī chaal nahīñ
chale to lākhoñ hī ko pā.emāl kar baiThe
ḳhamosh kyoñ ho ye nutq aadmī kā zevar hai
jo koī baiThe kahīñ bol chaal kar baiThe
ḳhabar nahīñ ki hai kājal kī koTharī duniyā
yahāñ jo baiThe vo dāman sañbhāl kar baiThe
jahāñ hai naqsh-bar-āb is meñ dam ke dam hai qiyām
koī kisī se yahāñ kyā malāl kar baiThe
taḌap rahā thā zamīñ par taḌapne dete tum
kisī kā dil ho koī pā.emāl kar baiThe
TaTolte haiñ jigar ko ki dil ko DhūñDte haiñ
vo mere siine meñ kyoñ haath Daal kar baiThe
vo merā dil nahīñ ai jaañ raqīb kā dil hai
tumhārā tiir jagah dekh bhaal kar baiThe
kiyā ḳhayāl zarā bhī na ḳhūn-e-āshiq kā
hinā se tum kaf-e-gul-rang laal kar baiThe
hujūm chāk-garebānoñ kā hai kūche meñ
huzūr parde se kyoñ sar nikāl kar baiThe
ye kyā kiyā ki unheñ de diyā dil ai 'akbar'
tumheñ ḳhabar nahīñ vo tum se chaal kar baiThe
raqib joD chala tum malal kar baiThe
kidhar KHayal gaya kya KHayal kar baiThe
KHayal isi pe rahe dekh-bhaal kar baiThe
tumhaari bazm mein dil ko sanbhaal kar baiThe
mere gunah par in zahidon ko hairat hai
ye aadmi ko farishta KHayal kar baiThe
bachaun kyunkar ise kis tarah unhen Talun
ghazab hua ki wo dil ka sawal kar baiThe
raqib KHush hue ab to tumhein qarar aaya
ki misl-e-rang mera KHun uchhaal kar baiThe
falak ki chaal hai ye aadmi ki chaal nahin
chale to lakhon hi ko paemal kar baiThe
KHamosh kyon ho ye nutq aadmi ka zewar hai
jo koi baiThe kahin bol chaal kar baiThe
KHabar nahin ki hai kajal ki koThari duniya
yahan jo baiThe wo daman sanbhaal kar baiThe
jahan hai naqsh-bar-ab is mein dam ke dam hai qiyam
koi kisi se yahan kya malal kar baiThe
taDap raha tha zamin par taDapne dete tum
kisi ka dil ho koi paemal kar baiThe
TaTolte hain jigar ko ki dil ko DhunDte hain
wo mere sine mein kyon hath Dal kar baiThe
wo mera dil nahin ai jaan raqib ka dil hai
tumhaara tir jagah dekh bhaal kar baiThe
kiya KHayal zara bhi na KHun-e-ashiq ka
hina se tum kaf-e-gul-rang lal kar baiThe
hujum chaak-garebanon ka hai kuche mein
huzur parde se kyon sar nikal kar baiThe
ye kya kiya ki unhen de diya dil ai 'akbar'
tumhein KHabar nahin wo tum se chaal kar baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.