raqibon ko yun bhi sataya karo
raqīboñ ko yuuñ bhī satāyā karo
diye bujh rahe hoñ tab aaya karo
ye āshiq kabhī nāchte hī nahīñ
inheñ uñgliyoñ par nachāyā karo
naqāb apne chehre pe rakkho sadā
faqat ham ko chehra dikhāyā karo
ye paiġhām lā.eñge le jā.eñge
chhatoñ par kabūtar uḌāyā karo
guloñ ko jalan tum se hone lagī
suno tum chaman meñ na jaayā karo
tumhāre parastār haiñ Dher se
hañso aur sab ko rulāyā karo
koī dūsrā mere jaisā nahīñ
maiñ 'dildār' huuñ āzmāyā karo
raqibon ko yun bhi sataya karo
diye bujh rahe hon tab aaya karo
ye aashiq kabhi nachte hi nahin
inhen ungliyon par nachaya karo
naqab apne chehre pe rakkho sada
faqat hum ko chehra dikhaya karo
ye paigham laenge le jaenge
chhaton par kabutar uDaya karo
gulon ko jalan tum se hone lagi
suno tum chaman mein na jaya karo
tumhaare parastar hain Dher se
hanso aur sab ko rulaya karo
koi dusra mere jaisa nahin
main 'dildar' hun aazmaya karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.