raqs-e-zamin ko gardish-e-aflak chahiye
raqs-e-zamīñ ko gardish-e-aflāk chāhiye
naqsh-e-qadam ko farsh-e-ḳhas-o-ḳhāk chāhiye
miTTī to dast-e-kūza-garāñ meñ hai der se
bartan meñ Dhālne ke liye chaak chāhiye
ham aise sāda-lauh se kyā māñgtī hai ziist
is ko harīf bhī koī chālāk chāhiye
kam-fursatī kā un kī mujhe bhī lihāz hai
ahvāl-e-dil ko dīda-e-namnāk chāhiye
Thahre hue haiñ ashk havāoñ kī aañkh meñ
mausam ko ab ke vahshat-e-bebāk chāhiye
raqs-e-zamin ko gardish-e-aflak chahiye
naqsh-e-qadam ko farsh-e-KHas-o-KHak chahiye
miTTi to dast-e-kuza-garan mein hai der se
bartan mein Dhaalne ke liye chaak chahiye
hum aise sada-lauh se kya mangti hai zist
is ko harif bhi koi chaalak chahiye
kam-fursati ka un ki mujhe bhi lihaz hai
ahwal-e-dil ko dida-e-namnak chahiye
Thahre hue hain ashk hawaon ki aankh mein
mausam ko ab ke wahshat-e-bebak chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.