raqs karte hue nazare hain sath mein chand hai sitare hain
raqs karte hue nazare hain sath mein chand hai sitare hain
Shahbaz Rizvi
MORE BYShahbaz Rizvi
raqs karte hue nazāre haiñ saath meñ chāñd hai sitāre haiñ
aañkh meñ raushnī ke dhāre haiñ saath meñ chāñd hai sitāre haiñ
is tasalsul meñ is ravānī meñ laash Thahrī huī hai paanī meñ
bulbuleñ haath paañv maare haiñ saath meñ chāñd hai sitāre haiñ
un kī āñkhoñ meñ ḳhvāb-e-duniyā hai ruḳh hai yā āftāb-e-duniyā hai
merī āñkhoñ meñ bas sharāre haiñ saath meñ chāñd hai sitāre haiñ
gardish-e-vaqt kā vajūd vo ḳhvāb apnī ḳhātir hai hast-o-būd vo ḳhvāb
tum hamāre ho ham tumhāre haiñ saath meñ chāñd hai sitāre haiñ
saare ġham-ḳhvār haiñ charāġhoñ ke sab azādār haiñ charāġhoñ ke
sub.h se ham bhī jang haare haiñ saath meñ chāñd haiñ sitāre haiñ
raushnī kab mujhe mayassar hai tīrgī hī mirā muqaddar hai
yuuñ to jugnū bhī Dher saare haiñ saath meñ chāñd hai sitāre haiñ
dil meñ ummīd-e-vasl jaagī hai aarzū nange paañv bhāgī hai
āsmāñ meñ kuchh abr-pāre haiñ saath meñ chāñd hai sitāre haiñ
zindagī ḳhvāhishoñ ke malbe se de rahī hai hameñ sadā 'shahbāz'
ham kisī jhiil ke kināre haiñ saath meñ chāñd hai sitāre haiñ
raqs karte hue nazare hain sath mein chand hai sitare hain
aankh mein raushni ke dhaare hain sath mein chand hai sitare hain
is tasalsul mein is rawani mein lash Thahri hui hai pani mein
bulbulen hath panw mare hain sath mein chand hai sitare hain
un ki aankhon mein KHwab-e-duniya hai ruKH hai ya aaftab-e-duniya hai
meri aankhon mein bas sharare hain sath mein chand hai sitare hain
gardish-e-waqt ka wajud wo KHwab apni KHatir hai hast-o-bud wo KHwab
tum hamare ho hum tumhaare hain sath mein chand hai sitare hain
sare gham-KHwar hain charaghon ke sab azadar hain charaghon ke
subh se hum bhi jang haare hain sath mein chand hain sitare hain
raushni kab mujhe mayassar hai tirgi hi mera muqaddar hai
yun to jugnu bhi Dher sare hain sath mein chand hai sitare hain
dil mein ummid-e-wasl jagi hai aarzu nange panw bhagi hai
aasman mein kuchh abr-pare hain sath mein chand hai sitare hain
zindagi KHwahishon ke malbe se de rahi hai hamein sada 'shahbaz'
hum kisi jhil ke kinare hain sath mein chand hai sitare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.