raqs karti hai tere nur mein zulmat meri
raqs kartī hai tire nuur meñ zulmat merī
huuñ judā tujh se to hai vahm haqīqat merī
tere andāz haiñ sab sāz-o-sadā nik.hat-o-rang
merā ehsās hī goyā hai ibādat merī
mere iz.hār ko de lahja-e-gul kā e.ajāz
harf-e-lāġhar se na sañbhlegī hikāyat merī
husn-e-nādīda kisī aks meñ Dhaltā hī nahīñ
roz laatī hai nayā aa.ina hairat merī
chhāyā jaatā hai ġhubār۔e-ġham-e-daurāñ dil par
kyā nahīñ ab ġham-e-jānāñ ko zarūrat merī
dil hai ā.īna-e-ajzā-e-pareshān-e-vajūd
ya.anī ik sūrat-e-idrāk hai vahshat merī
be-dilī par to ye aalam hai ki dil raqs meñ hai
ho ġhazab rang pe aa.e jo tabī.at merī
raqs karti hai tere nur mein zulmat meri
hun juda tujh se to hai wahm haqiqat meri
tere andaz hain sab saz-o-sada nikhat-o-rang
mera ehsas hi goya hai ibaadat meri
mere izhaar ko de lahja-e-gul ka eajaz
harf-e-laghar se na sanbhlegi hikayat meri
husn-e-nadida kisi aks mein Dhalta hi nahin
roz lati hai naya aaina hairat meri
chhaya jata hai ghubar۔e-gham-e-dauran dil par
kya nahin ab gham-e-jaanan ko zarurat meri
dil hai aaina-e-ajza-e-pareshan-e-wajud
yani ek surat-e-idrak hai wahshat meri
be-dili par to ye aalam hai ki dil raqs mein hai
ho ghazab rang pe aae jo tabiat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.