raqs karti hain falak par bijliyan ab kya karun
raqs kartī haiñ falak par bijliyāñ ab kyā karūñ
merī pūñjī hai yahī ik āshiyāñ ab kyā karūñ
aar hai sunñe se un ko dāstāñ ab kyā karūñ
mere qaabū meñ nahīñ merī zabāñ ab kyā karūñ
ālam-e-ġhurbat hai maiñ huuñ aur añdherī raat hai
luT gayā aise meñ saarā kārvāñ ab kyā karūñ
lījiye rone lage hichkī bañdhī ġhash kar ga.e
aur abhī hai ibtidā-e-dāstāñ ab kyā karūñ
duur manzil nā-tavānī se qadam uThnā muhāl
kyā karūñ ai chāra-sāz-e-be-kasāñ ab kyā karūñ
dil meñ aayā thā ki khīñchūñ ek āh-e-pur-asar
un kī sūrat aa ga.ī phir darmiyāñ ab kyā karūñ
duur sāhil nā-ḳhudā māyūs tūfāñ kā shabāb
Dūbtī hai kashtī-e-umr-e-ravāñ ab kyā karūñ
rahte rahte jab mujhe zindāñ se ulfat ho chalī
hukm hotā hai ki kaaTo beḌiyāñ ab kyā karūñ
sāthiyoñ tak girte paḌte maiñ pahuñch jaatā 'sa.īd'
ban ga.ī dīvār gard-e-kārvāñ ab kyā karūñ
raqs karti hain falak par bijliyan ab kya karun
meri punji hai yahi ek aashiyan ab kya karun
aar hai sunne se un ko dastan ab kya karun
mere qabu mein nahin meri zaban ab kya karun
aalam-e-ghurbat hai main hun aur andheri raat hai
luT gaya aise mein sara karwan ab kya karun
lijiye rone lage hichki bandhi ghash kar gae
aur abhi hai ibtida-e-dastan ab kya karun
dur manzil na-tawani se qadam uThna muhaal
kya karun ai chaara-saz-e-be-kasan ab kya karun
dil mein aaya tha ki khinchun ek aah-e-pur-asar
un ki surat aa gai phir darmiyan ab kya karun
dur sahil na-KHuda mayus tufan ka shabab
Dubti hai kashti-e-umr-e-rawan ab kya karun
rahte rahte jab mujhe zindan se ulfat ho chali
hukm hota hai ki kaTo beDiyan ab kya karun
sathiyon tak girte paDte main pahunch jata 'said'
ban gai diwar gard-e-karwan ab kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.