raqs karti hui dharti pe khaDa kar ke mujhe
raqs kartī huī dhartī pe khaḌā kar ke mujhe
kis jagah chhoḌ diyā ḳhud se judā kar ke mujhe
maiñ ne thak-hār ke jab ḳhud se rifāqat kar lī
dil ne phir chhoḌ diyā merā gila kar ke mujhe
apne is turra-e-dastār-e-ḳhilāfat kī qasam
jaan se maar diyā tū ne baḌā kar ke mujhe
jāñ-nisār ab bhī mire saath bahattar haiñ vahī
dekh lo barpā abhī karb-o-balā kar ke mujhe
raqs karti hui dharti pe khaDa kar ke mujhe
kis jagah chhoD diya KHud se juda kar ke mujhe
main ne thak-haar ke jab KHud se rifaqat kar li
dil ne phir chhoD diya mera gila kar ke mujhe
apne is turra-e-dastar-e-KHilafat ki qasam
jaan se mar diya tu ne baDa kar ke mujhe
jaan-nisar ab bhi mere sath bahattar hain wahi
dekh lo barpa abhi karb-o-bala kar ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.