raqs karti hui lau sar pe uTha lai hai
raqs kartī huī lau sar pe uThā laa.ī hai
sar qalam karke charāġhoñ ke havā laa.ī hai
teḌhī-meḌhī sī lakīroñ ko sajā laa.ī hai
ye hathelī bhī mire vāste kyā laa.ī hai
merī auqāt hī kyā thī ki sarāhā jaatā
mujh ko masnad pe buzurgoñ kī duā laa.ī hai
maiñ jo sardār na hotā to maiñ maarā jaatā
merī dastār mire sar ko bachā laa.ī hai
maiñ kisī aur kī suntā hī kahāñ thā mire ishq
mujh ko is dasht meñ terī hī sadā laa.ī hai
ab ḳhudā jāntā hai kis kā muqaddar ye bane
terī dahlīz talak mujh ko qazā laa.ī hai
pahle vo husn ko lafzoñ meñ bayāñ kartī rahī
ba.ad-azāñ apnī hī tasvīr uThā laa.ī hai
ḳhema-e-ḳhāk meñ baiThā huuñ maiñ gum-sum 'ahmad'
justujū chāroñ taraf mujh ko ghumā laa.ī hai
raqs karti hui lau sar pe uTha lai hai
sar qalam karke charaghon ke hawa lai hai
teDhi-meDhi si lakiron ko saja lai hai
ye hatheli bhi mere waste kya lai hai
meri auqat hi kya thi ki saraha jata
mujh ko masnad pe buzurgon ki dua lai hai
main jo sardar na hota to main mara jata
meri dastar mere sar ko bacha lai hai
main kisi aur ki sunta hi kahan tha mere ishq
mujh ko is dasht mein teri hi sada lai hai
ab KHuda jaanta hai kis ka muqaddar ye bane
teri dahliz talak mujh ko qaza lai hai
pahle wo husn ko lafzon mein bayan karti rahi
baad-azan apni hi taswir uTha lai hai
KHema-e-KHak mein baiTha hun main gum-sum 'ahmad'
justuju chaaron taraf mujh ko ghuma lai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.