Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raqs karti ja rahi hai nim-uryani hawa

Syed Qamruddin Qamar

raqs karti ja rahi hai nim-uryani hawa

Syed Qamruddin Qamar

MORE BYSyed Qamruddin Qamar

    raqs kartī rahī hai nīm-uryānī havā

    moh letī hai dil-e-insān shaitānī havā

    sabt kartī hai nishāñ hoñToñ ke ġhunchoñ par kabhī

    zehn Daalī ko sahlātī hai rūmānī havā

    kaale kosoñ se guzar kar bastiyoñ meñ Thahr kar

    tāzgī detī rahī hai sab ko mastānī havā

    dasht-o-bastī ke amal se hai ye vāqif is liye

    dasht par barsā ke jaatī hai sadā paanī havā

    ḳhushk jhīleñ haiñ kahīñ par hai kahīñ taptī zamīñ

    aur kahīñ sailāb laatī hai ye tūfānī havā

    baḳhsh detī hai kisī ko zindagānī aur phir

    ruuTh jaatī hai kisī ke tan se dīvānī havā

    zar hai jab tak saath rahtī hai 'qamar' ye shauq se

    muflisī meñ ruuTh jaa.e jānī-pahchānī havā

    raqs karti ja rahi hai nim-uryani hawa

    moh leti hai dil-e-insan shaitani hawa

    sabt karti hai nishan honTon ke ghunchon par kabhi

    zehn ki Dali ko sahlati hai rumani hawa

    kale koson se guzar kar bastiyon mein Thahr kar

    tazgi deti rahi hai sab ko mastani hawa

    dasht-o-basti ke amal se hai ye waqif is liye

    dasht par barsa ke jati hai sada pani hawa

    KHushk jhilen hain kahin par hai kahin tapti zamin

    aur kahin sailab lati hai ye tufani hawa

    baKHsh deti hai kisi ko zindagani aur phir

    ruTh jati hai kisi ke tan se diwani hawa

    zar hai jab tak sath rahti hai 'qamar' ye shauq se

    muflisi mein ruTh jae jaani-pahchani hawa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now