raqs-kunan hain uski yaaden kuchh yun mere man aangan
raqs-kunāñ haiñ us kī yādeñ kuchh yuuñ mere man āñgan
jaise kisī raqqāsa ke pairoñ meñ ghuñghrū kī chhan-chhan
jis dam us banjāra laḌkī ne bastī meñ paaoñ dharā
bastī meñ ik shor uThā sab chīḳh rahe the uf joban
bāzāroñ meñ sone ke sab daam gire phir auñdhe muñh
us ne jab ik shaam utāre apne hāthoñ ke kangan
keval ik maḳhsūs sī dastak kī ḳhātir ik muddat se
darvāze par aañkh Tikā kar raah nihāre ik birhan
kitne maTke ḳhālī rah ga.e kitnī āñkheñ bhar aa.iiñ
jab se tanhā chhoḌ ga.e haiñ apne gokul ko mohan
raqs-kunan hain us ki yaaden kuchh yun mere man aangan
jaise kisi raqqasa ke pairon mein ghunghru ki chhan-chhan
jis dam us banjara laDki ne basti mein paon dhara
basti mein ek shor uTha sab chiKH rahe the uf joban
bazaron mein sone ke sab dam gire phir aundhe munh
us ne jab ek sham utare apne hathon ke kangan
kewal ek maKHsus si dastak ki KHatir ek muddat se
darwaze par aankh Tika kar rah nihaare ek birhan
kitne maTke KHali rah gae kitni aankhen bhar aain
jab se tanha chhoD gae hain apne gokul ko mohan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.