raqs mein aaj kahin shoala-e-inkar hai kya
raqs meñ aaj kahīñ sho.ala-e-inkār hai kyā
yuuñ nahīñ hai to dhuāñ sā pas-e-dīvār hai kyā
vārdāteñ jo guzartī haiñ ThiThak jaatī haiñ
tere atrāf koī rāsta bedār hai kyā
lag ga.ī aag tire aane se gulzāroñ meñ
ab batā haal tirā abr-e-ḳhush-āsār hai kyā
us ke ḳhāmosh takallum ko jo dekhā to khulā
guftugū kahte haiñ kis chiiz ko iz.hār hai kyā
kyoñ tirā chehra nazar aatā hai TukḌe TukḌe
ab shikasta tirā ā.īna-e-kirdār hai kyā
kū-ba-kū pūchhtā phirtā huuñ maiñ sab se ye savāl
diid kahte haiñ kise daulat-e-dīdār hai kyā
us ke kūche se ujāloñ kā safar jaarī hai
ḳhema-zan qāfila-e-sābit-o-sayyār hai kyā
raat hotī hai to baḌh jaatā hai shor-e-girya
āj-kal merā paḌosī koī bīmār hai kyā
merī Thokar meñ paḌe rahte haiñ aflāk tamām
shauq-e-iz.hār nahīñ varna ye kohsār hai kyā
qīmat-e-husn to mauqūf haiñ maddāhoñ par
na ḳharīdār ho maujūd to bāzār hai kyā
bahr-e-mavvāj meñ tinke pe bharosa na karo
sar pe sūraj ho to phir sāya-e-dīvār hai kyā
itnā raushan to nahīñ mehr-e-falak bhī 'yāvar'
ufuq-e-fikr pe āḳhir ye numūdār hai kyā
raqs mein aaj kahin shoala-e-inkar hai kya
yun nahin hai to dhuan sa pas-e-diwar hai kya
wardaten jo guzarti hain ThiThak jati hain
tere atraf koi rasta bedar hai kya
lag gai aag tere aane se gulzaron mein
ab bata haal tera abr-e-KHush-asar hai kya
us ke KHamosh takallum ko jo dekha to khula
guftugu kahte hain kis chiz ko izhaar hai kya
kyon tera chehra nazar aata hai TukDe TukDe
ab shikasta tera aaina-e-kirdar hai kya
ku-ba-ku puchhta phirta hun main sab se ye sawal
did kahte hain kise daulat-e-didar hai kya
us ke kuche se ujalon ka safar jari hai
KHema-zan qafila-e-sabit-o-sayyar hai kya
raat hoti hai to baDh jata hai shor-e-girya
aaj-kal mera paDosi koi bimar hai kya
meri Thokar mein paDe rahte hain aflak tamam
shauq-e-izhaar nahin warna ye kohsar hai kya
qimat-e-husn to mauquf hain maddahon par
na KHaridar ho maujud to bazar hai kya
bahr-e-mawwaj mein tinke pe bharosa na karo
sar pe suraj ho to phir saya-e-diwar hai kya
itna raushan to nahin mehr-e-falak bhi 'yawar'
ufuq-e-fikr pe aaKHir ye numudar hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.