raqs mein hai jahan ka jahan aaj-kal
raqs meñ hai jahāñ kā jahāñ āj-kal
maañd hai gardish-e-āsmāñ āj-kal
āsmāñ par nahīñ zohra-o-mushtarī
hai zamīñ par har ik dil-sitāñ āj-kal
nashsha-e-fasl-e-gul bū-e-mai husn-e-mah
khiñch ke sab aa ga.e haiñ kahāñ āj-kal
manzil-e-nuh-falak mujh ko āvāz de
hai mirī raah meñ kahkashāñ āj-kal
ilm ke Alps par haiñ talab ke qadam
hausle is qadar haiñ javāñ āj-kal
is taraf aa.eñ rūh-ul-amīñ se kaho
mast hai tūtī-e-ḳhush-bayāñ āj-kal
raqs mein hai jahan ka jahan aaj-kal
mand hai gardish-e-asman aaj-kal
aasman par nahin zohra-o-mushtari
hai zamin par har ek dil-sitan aaj-kal
nashsha-e-fasl-e-gul bu-e-mai husn-e-mah
khinch ke sab aa gae hain kahan aaj-kal
manzil-e-nuh-falak mujh ko aawaz de
hai meri rah mein kahkashan aaj-kal
ilm ke Alps par hain talab ke qadam
hausle is qadar hain jawan aaj-kal
is taraf aaen ruh-ul-amin se kaho
mast hai tuti-e-KHush-bayan aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.