raqsan hain udhar jalwe jidhar dekh rahe hain
raqsāñ haiñ udhar jalve jidhar dekh rahe haiñ
ye terī mohabbat kā asar dekh rahe haiñ
phir hashr uThegā na.e unvān se shāyad
badlī huī kuchh un kī nazar dekh rahe haiñ
is darja hameñ ishq ne majbūr kiyā hai
āñkhoñ se ujaḌtā huā ghar dekh rahe haiñ
ab dast-e-junūñ apne garebāñ se haTe kyā
har vaqt unheñ pesh-e-nazar dekh rahe haiñ
'jauhar' ba-ḳhudā aaj vo mā.il-ba-karam haiñ
qismat se tamanna kā samar dekh rahe haiñ
raqsan hain udhar jalwe jidhar dekh rahe hain
ye teri mohabbat ka asar dekh rahe hain
phir hashr uThega nae unwan se shayad
badli hui kuchh un ki nazar dekh rahe hain
is darja hamein ishq ne majbur kiya hai
aankhon se ujaDta hua ghar dekh rahe hain
ab dast-e-junun apne gareban se haTe kya
har waqt unhen pesh-e-nazar dekh rahe hain
'jauhar' ba-KHuda aaj wo mail-ba-karam hain
qismat se tamanna ka samar dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.