rasai ahl-e-dil ki hai jahan tak
rasā.ī ahl-e-dil kī hai jahāñ tak
ḳhirad vaale na pahuñcheñge vahāñ tak
havā-e-tund ho yā barq-o-bārāñ
ye saarī āfateñ haiñ āshiyāñ tak
kisī kī justujū meñ chal diye haiñ
junūñ ab dekheñ le jaa.e jahāñ tak
mirī barbādiyāñ phir rang lā.īñ
ujālā hai qafas se āshiyāñ tak
koī kyā jaane kitne fāsle haiñ
haram se us ke sang-e-āstāñ tak
hameñ bhī dekhnā hai ab to 'shāriq'
miTā.egī hameñ duniyā kahāñ tak
rasai ahl-e-dil ki hai jahan tak
KHirad wale na pahunchenge wahan tak
hawa-e-tund ho ya barq-o-baran
ye sari aafaten hain aashiyan tak
kisi ki justuju mein chal diye hain
junun ab dekhen le jae jahan tak
meri barbaadiyan phir rang lain
ujala hai qafas se aashiyan tak
koi kya jaane kitne fasle hain
haram se us ke sang-e-astan tak
hamein bhi dekhna hai ab to 'shaariq'
miTaegi hamein duniya kahan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.