rasai kaisi ki harakat hi sath chhoD gai
rasā.ī kaisī ki harakat hī saath chhoḌ ga.ī
ye kohsār sī qāmat hī saath chhoḌ ga.ī
bhañvar ke saath ulajhtī huī sadā ko sunā
phir us ke baad samā.at hī saath chhoḌ ga.ī
kisī se apnā ta.āruf karā.eñ to kaise
ki ab to apnī shabāhat hī saath chhoḌ ga.ī
tum ek shaḳhs bichhaḌne ke dukh meñ baiThe ho
yahāñ to puurī jamā.at hī saath chhoḌ ga.ī
vo jis ke vāste taj dī thiiñ bastiyāñ 'ākāsh'
vo regzār kī hiddat hī saath chhoḌ ga.ī
rasai kaisi ki harakat hi sath chhoD gai
ye kohsar si qamat hi sath chhoD gai
bhanwar ke sath ulajhti hui sada ko suna
phir us ke baad samaat hi sath chhoD gai
kisi se apna taaruf karaen to kaise
ki ab to apni shabahat hi sath chhoD gai
tum ek shaKHs bichhaDne ke dukh mein baiThe ho
yahan to puri jamaat hi sath chhoD gai
wo jis ke waste taj di thin bastiyan 'akash'
wo regzar ki hiddat hi sath chhoD gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.